pendelite maintanance kya hota hai or isko kis section kis law ke under file kiya jata hai or is application ko kon kar sakta hai to dosto Article ke end tak bane rahiye is article me apko pendelite maintanance se jhudi sari jankari milegi.
dosto sabse pehle bat kare ki pendelite maintanance kya hota hai or kis law ke antargat isko file kiya jata hai to dosto pendelite maintanance ko hm act ki dhara 24 or special marriage act ki dhara 36 ke anusar file kiya jata hai to dosto aaj ham sirf hm act ki dhara 24 ki bat karenge . special marriage act ke bare me ham kabhi or bat karenge.
to dosto jab kabhi bhi marriage ki koi bhi petition agar hindu marriage act ke andar file ki jati hai chahe wo maintance ho restitution of conjugal right ho divorce ho ya marriage ko null & void karne ki petition ho aise kisi bhi petition me agar petitioner ke pas agar us proceeding ko chalane ka kharcha na ho ya uske pas apna gujara karne ke paryapt sadhan na ho to wo section 24 hm act ke anusar pendelite maintanance ki application ko kar sakta hai.
uske bad अगला सवाल yeh ata hai ki is application ko kon sakta hai to dosto Hindu marriage act ke section 24 me ye adhikar pati patni dono ko diya gaya hai
lekin bombay high court ke is Kanchan v. Kamalendra, AIR 1993 Bom 493. judgement me court ne bataya ki agar husband ye pendelite maintanance ki application ko karta hai to usko proof karna padega ki due to mental or physical disabily wo apne aap ko maintain karne ke kabil nahi hai or court proceedings ka kharcha nahi kar sakta or sirf uska business band hua hai is vajah se wo apne aap ko maintain or court proceedings ka kharcha nahi utha sakta ye nahi kaha ja sakta agar aisi situation hai to is case me honble bombay high court clearly kaha ki usko maintanance nahi diya ja sakta hai kyuki ye dhara 24 ke principals ke khilaf hai
uske bad bat kare ki kitan maintanance milna chahiye to dosto madras high court ne Rajendran v. Gajalakshmi (1985), is case me bataya hai ki jo pendelite mentainatance ki amount hai wo reasonable hone chahiye wo respondent ke upar bojh nahi honi chahiye lekin pettioner expences ko meet karni chahiye to dosto is case me wife ko lower court ne us time par 150 rs ka maintance grant kiya tha to pati ne is par appeal ki thi or uska submission tha ki wife ka jo brother wo accha paise kamata hai to madras high court ne uske is submission ko irrelavant note kar uski apeal ko reject kar diya to is se apko samaj me aa gaya hoga ki agar patni ke parental house kitna bhi sufficient ho uska kharcha karne ke liye lekin wo khud agar earn nahi karti to wo is application ko file kar claim kar sakti hai
uske bad last me bat kare to court pendelite maintanance grant karne se pehle kin bato ki aur gaur karti hai to dosto isme sabse pehle to jiske dwara maintance diya jana hai uski income ko dekha jata hai wo kitna earn karta hai agra wife claim karti hai uska husband itna jyada kamat hai to usko is bat ke support me documents bhi produce karne padenge sirf uske keh dene matra se court kabhi bhi application ko decide nahi karti uske bad agar is application ko karne wala dusre city se ata hai to uske travel expenses agar pettioner wife hai to wo akele travel nahi kar sakti usko bhi dhyan me rakha jata hai uske bad hi court ke dwara order kiya jata hai to dosto ia prakar dhra 24 ke andar koi bhi spouse pendelite maintanance ki application ko kar sakta hai or case khatam hone tak samne wale se interiam maintance or court proceedings ka khacha mang sakta hai to dosto yeh thi jankari dhara 24 hindu marriage act ke bare me or dosto hamare is blog par apko jankari hamare desh ki honble supreme court or honble high courts ke dwara parit kiye gaye adesh ke anusar hi di jati hai hamara intention ap logo tak sahi jankari pahuchana Matra hai.