to dosto agar pati pehle patni ke jinda rehte ya us se bina talaq liye dusri shadi karta hai to aise situation me kya us patni ke pas ye adhikar hoga ki wo uske pati ke dwara uske upar hui cruelty ke againts me 498a ka case kar sake to dosto ye janane ke post ko pura pade to dosto chaliye aage badte hai to hamesha ki tarah aaj ke bhi is point ko samajhne ke liye me apko ek case ke bare me batata hu to dosto Honble Karanataka High Court ne Kantharaju vs state of karnataka is revision petition me apna faisala sunate hue is swal ka jawab diya to dosto sabse pehle jante hai is case ke bare me to dosto is case me jo patni thi uske anusar wo jo pati tha uski second wife hai or un dono ke relationship ko 5 sal bit gaye hai or unko 1 baccha bhi hai uske bad jab usko health issues hone lage or usko jab paralysis hua uske bad se uska pati usko mentally or physically pareshan karne laga to uske bad usne police me complaint ki uske bad trial court is mamale me pati ko 498a ke tahat doshi paya usko conviction de diya uske bad session court ne bhi conviction ko bhi barkarar rakha or iske bad ye mamala pahuch gaya karnataka hogh court ke samne to dosto karnataka high ne is mamale me manniy supreme court ke 2 Shivcharan Lal Verma case or the P Sivakumar case in judgements ka hawala dete hue ye kaha ki in cases me supreme court ne clearly ye bataya hai ki agar pati patni ke bich hue marriage agar null and void ghoshit ho jati hai to aisi condition me pati ke khilaf 498a ka mukdama tenable nhi ho sakta or is case me bhi patni or uski maa ke evidence me aya hai ki wo uski dusri patni hai to aise situation me bhi pati ko 498a ke tahat doshi nahi paya ja sakta ye kehte hue pati ke conviction ke judgement ko set aside kar diya gaya
KYA SECOND WIFE APNE PATI KE KHILAF 498A KA CASE KAR SAKTI HAI
0
December 18, 2023
kya dusri patni apne pati ke upar 498a ka case kar sakti hai