kya Domestic Violence ke case maintanance ke recovery ke liye jail bheja ja sakta hai
kya Dv act me mainatanance or compensation ki amount na dene par pati ko Dv ki dhara 31 ke anusar 20000 ki penalty or 1 varsh tak ke karavas ki saza di ja sakti hai to dosto generally dekha hoga ki agar kisi court ke dwara koi bhi maintanance lagu hota chahe wo interim ho ya final chahe wo compensation ho usko recover karne ke liye patni ke dwara recovery ka case file kiya jata hai or agar us mahila ke dwara dhara 18 dv act ke anusar agar koi protection managa jata hai or court agar wo protection de deti hai or uske bad pati ke dwara uska palan nahi kiya jata to doshi paye jane par wo dhara 31 ke anusar 1 varsh ke karavas or 20000 tak ke penalty ke liye dandit kiya ja sakta hai lekin aaj ka sawal ye hai ki agar court ke dwara dv act me pati ke upa agar maintanance or compensation ka agar order pass kiya jata to uska agar pati ke dwara paalan nahi kiya jata to kya ukse upar dhara 31 dv act ki lagu hogi.
to dosto C.D. ravindranath vs shrilatha and others is case me telangana ki ek magistrate ki court ne pati or uske rishtedaro ke dwara maintanace or compensation ka order ka compliance na karne par unke virudh dhara 31 ke anusar proceeding initiate kar di to iske bad pati or uske rishtedar pahuch gaye telangana high court ke samane or unhone apana paksh rakhte hue dalil di ki magistrate ke dwara unke upar dhara 31 ke anusar ki gayi karywahi totally illegal hai kyoki dhara 31 ke anusar keval protection order ka compliance na karne par hi is dhara ke antargat karyawahi ki ja sakti hai wahi duari or patni ke taraf se dalili is prakar thi ki dv act me pidita ko bahut sare relief diye gaye hai jo ki dhara 18 se lekar dhara 22 tak hai to wo in sare relief ke liye court me application kar sakti hai or court ke adesh ka palan na karne par dhara 31 ke anusar bhi application kar sakti hai.
to dosto dono paksho ki dalilo ko sunane ke bad me telanagana high ne interpretation of statue ke literal rule ko dhyana me rakha or ye samjhaya ki literal rule ke anusar kanoon ko jaisa bataya hai usko vaisa hi samjha jayega usme kisi bhi prakar ka badlav nahi kiya jayega or dhara 31 ke anusar keval magistrate ke dwara diye hue protection order ko na manane par hi dhara 31 ke anusar karyawahi ki ja sakti hai to ye finding nikalte hue court ne 28/4/23 ko pati ki application ko manya kar uske upar magistrate ke dwara intiate ki gayi dhara 31 ki proceeding ko band kar diya.