cheque bounce hone se pehle hi kare apna bachav
dosto aajkal cheque ke badte vyavhar ke karan kisi ka diya hua security cheque bhi log deposit karke bounce karne se nahi katra rahe jiske karan jhuthe cheque bounce yane ki 138 negotiable instrument ke mamale badte ja rahe hai or apna bachav sahi dang se nahi karne ke karan logo to jhuthe case mai bhi punishment ya cheque amount ka double fine dena pad raha hai to dosto cheque bounce hone se pehle hi apka aisa kya kam karna hai jis se samane wala apke upar ni act ke andar agar case bhi file karta hai to apka apna bachav karte ayega to dosto uske liye apko agar pata hai ki samane wale ke pas apke dwara payment karne ke bad bhi apke diye hue security ke cheque return nahi kar raha or apko un cheques ko bank me dalne ki dhamki de raha hai to aise me apko usko ek notice bhejani hai usme apko un cheques ko us se wapas mangna hai or usme ye mention karna hai ki ye cheque sirf or sirf security ke reason se diye they ab apka payment ho chuka hai to apko cheque lautane padenge is se apke pas proff jama ho jayenge agar wo bad me apke upar case file karta hai to apke pas apne bachav me defence hoga or court apse pehle ye hi pushti hai ki apke cheque udhar kaise gaye or agar payment ho gayi hai to apne cheque return lene ke liye kya kiya to dosto isliye apne cheque ko wapis karne ke liye apko ek notice jarur bhejani chahiye.