Payment stopped by drawer - cheque bounce case
Agar apko koi payment ke badale cheque issue karta hai or aap jaise hi use bank me dalte ho tab wo cheque bounce ho jata hai bank hame memo ke sath me cheque ko return kar deti hai or uspar reason ata hai ki 'payment stopped by drawer' to aise mai kya karna chahiye kyuki agar memo me fund insufficient ka reason ata hai to ham uske upar 138 negotiable instrument ke anusar case file kar sakte hai lekin kya memo me payment stopped by drawer aisa reason aya to kya uske upar 138 ni act ke anusar case file kar sakte hai to dosto negotiable instrument act ke anusar chahe kisi bhi reason cheque bounce hota hai tab bhi ham dhara 138 ke anusar cheque bounce ka case file kar sakte hai or is vishay par apko adhik jankari chahiye to aap video bhi dekh sakte ho