kya apne partner ko contionusly sharirik sambandh banane se inkar karna mental cruelty ka ek ground hota hai divorce petition ke ilye to dosto agar apka bhi partner bina kisi karan apke sath sharirik sambandh banane se inkar karta hai to aap is ground par divorce file kar sakte hai ya nahi ye janane ke liye ap blog ke end jarur bane rahiye to dosto kya apka bhi partner bina kisi vajah apse sharirik banane se inkar karta hai to jante hai ilahabad court ne Ravindra Pratap Yadav vs smt. ashadevi and others is case me apna kya faisla sunaaya hai to dosto ilahabad high court me pati ke dwara uski jo divorce ki petition ko family court ke dwara dismiss kiya gaya tha uske upar appeal file ki gayi thi to dosto is case ki story kush is prakar hai hai ki shadi ke bad gauna ki jo rasm hoti hai usko pura karne ke bad jab patni apne sasural ati hai to kuch dino tak wo accha behave karti hai uske bad wo ek hi shat ke niche alag alag rehte hai unke bich pati patni ke rishte jaisa kuch bhi nahi tha uske wo apne parental houce yane ki mayke chali jati hai uske bad jo pati hai wo police me kam karta tha uski bhi posting out of town hoti hai uske bad wo jab she mahine ke bad shuti lekar is asha me ata hai ki ab uski patni ke vicharo me farq aya hoga or wo usko lene chala jata hai to waha par uski patni or uske gharwale usko mutual divorce ke liye conveyance karte hai or panchalayat ke samne divorce lete hai or final alimony ke rup me wo apni patni ko 22000 cash bhi deta hai jiske bad uski patni dusri shadi bhi karli hai or us se usko 2 bacche bhi hote hai ab wo family court me divorce file karta hai family court uski petition ko exparte dismiss karti hai to wo yaha alahabad high court ke samane aa jata hai to is case me alabad high court ne mananiya sarvocch nayaalay ke samar gosh vs jaya Ghosh 2007 case ka havala dete hue kaha ki jo supreme court ne is case me jo mental cruelty ke upar guidline di hai jisme spasht kaha gya hai ki ham mental cruelty ko specifically nahi bataya ja sakta lekin ek party ke koi ek act ke dwara dusri party ka jina mushkil ho gya hai aise sare kam mental cruelty ke shreni me ayenge to inhi guildlines ka havaala dete hue ilahabad high court ne patni ke dwara bina kisi karan duri banaye rakhne ko mental cruelty ka reason man kar pati ke petition ko manya kar use is ground par divorce de diya
kya sharirik sambandh banane se inkar karna divorce ke liye ground hai
0
January 21, 2024
kya sharirik sambandh banane se inkar karna divorce ke liye ground hai